Hindi Lyrics

Mere Bhantai Song Lyrics – Maghreb

Mere Bhantai Song Lyrics - Maghreb

Advertisement

Mere Bhantai Song Lyrics

Singer: Naezy
Album: Maghreb
Lyricist: Naezy
Music: BYG BYRD

Mere Bhantai Song Lyrics

Yeh gaana mere bhantai log ke liye
Mere bhantai log jo mehnat karre udhar
Fukatgiri nahi karre unke liye
Mere bhantai jo zinda hai
Jo bekasur hai
mere bhantai log jo chal diye
Unlog ke liye hai yeh gana

Mere bhantai bhantai bhantai
Piche piche aare saare mere bhantai
Mere bhantai bhantai bhantai
Luchcha lafanga nahi
Banda yeh dhang ka hai
Mere bhantai bhantai bhantai
Maa teri maa meri bhen mera bhantai
Mere bhantai bhantai bhantai
Haath jo laga deve toh
Raampuri chal jaaye

Tere liye bhantai
Ek word hai bhot cool hai
Haqiqat kuch aur hai
Asal bhantai ko bhoole
Na dhang ka hai ration
Na dhang ka koi school hai
Das ghante jab ghaste
Tab jalte hai chulhe
Kapde hai saste yahan
Haajat ko loo nahi hai
Maange ko muh nahi hai
Pehle hi udhaari hal
Maslo ke kyu nahi hai
Chohraai pe chae pae
Kahi pe sukoon nahi hai
Tarakki shuru nahi hai

Karega bhi kya ab
Nagarsevak tu nahi hai
Garmi mein tapti
Chat ye tapakti
Baarish mein ban jaate mohalle mein pool
Thandi mein garma garmi naake pe hool
Tera bhantai hai cool
Sidha takhte pe stool
Harkatien awli yeh
kaandi mein chool
Chaali ke jeevan mein
Dhandli har area mein
Bhantai takleef mein reh
Jhoola tu jhool

Mere bhantai bhantai bhantai
Piche piche aare saare mere bantai
Mere bantai bantai bantai
Luchcha lafanga nahi
Banda yeh dhang ka hai
Mere bhantai bhantai bhantai
Maa teri maa meri bhen mera bhantai
Mere bhantai bhantai bhantai
Haath jo laga deve toh
Raampuri chal jaaye

Aiba jo asli bechega sab kuch
Imaan nahi!
Ladko ko rasto ka gyaan nahi
Maal aaj kal nahi
Haathon ka mail paisa
Baaton ka khel nahi
Iraade mere fail nahi
Maasum ko hatkadi
Mujrim ko jail nahi
Kam jaga chalti meri
sach mein patel nahi
Rakh ke dhakelte
Ille bille khatri zille
Dost mere saare kill hai
Tere dost bacchan pelle
Nochle be dhakkan dhille
Makhkhan toast rohgan gosht
Maushi maajhi macchi khaas

Aiba log ki bus ticket mein
Tera nikla bacchi pass
Shooter saare fakht wicket pe
Koi fukat nahi sacchi baat
Mann ke maalik service hard
Din bhar thakte aunty mere middle class
Ladte dat ke zindagi ki har ek class
Padte jam ke western ladke dekhte aaj
Internet pe influence hai
International Intellectual hum banate ab rivaaj
Sabse khatri

Mere bantai bantai bantai
Piche piche aare saare mere bantai
Mere bhantai bhantai bhantai
Luchcha lafanga nahi
Banda yeh dhang ka hai
Mere bhantai bhantai bhantai
Maa teri maa meri bhen mera bhantai
Mere bhantai bhantai bhantai
Haath jo laga deve toh
Raampuri chal jaaye

Bhantai log ko sympathy nahi chahiye kya
Pyaar chahiye humlog ko
Sidhi si baat hai
Pyaar do aur pyaar lo
Aur pyaar baat’te firo
Kya bolrele Bantai log, Unh!

Tags

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close