Hindi Lyrics

Jeeta Haara Song Lyrics – Maghreb

Jeeta Haara Song Lyrics - Maghreb

Advertisement

Jeeta Haara Song Lyrics

Singer: Naezy
Album: Maghreb
Lyricist: Naezy
Music: Karan Kanchan

Jeeta Haara Song Lyrics

Zindagi ke khel mein
Kaun jeeta kaun haara
Chalo dekhe aaj
Gaana number 36

Mic mere control mein
Beat pe mai samajhata
Rap karna shauk mera
Ijaat karne maza aata
Der ho gayeli raat ko
Dudh peeke dawa khata
Der ho gayeli baat ko
Maaf kar ke chala jaata
Kala maata baap kaun
Geet beta fala chacha
Punterlog ka saath du
Jail ki tak hawa khata
Zindagi ajeeran
Kama kam gava zyada
Kaash hota cash jhol
Baat apni bada paata
Kaash mujhe log sunte
Izzat thodi kama paata
Fook chuka bhartol mein
Chhodi aadat maza jaancha
Zindagi ka saaf rehkar
Taufa dera anna daata
Aakhir jeet haar mein
Dono ka hi khula khata

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ki asliyat hai
Ghar pe patte maako Deke
Wapas field pe jaara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh bojh banti
Wazni kandhe antim pal mein
Asli banne aara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh musibat hai
Aadhe raste haar se dar ke
Waapas mud ke jaaraa kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ek falsafa hai
Khaali panne khudse bharne
Nafs se ladne aara kaun

Bachpan se sikhaya gaya
Sidhe chalo dheeme chalo
Lekin mera rasta tha
Uubad khabad aada teda
Logo se main darta tha
Man mutabik chalta tha
Saahil ka kinara lage
Manzil paas sahara lage

Har dil mein mujhe basna tha
Naata rab ka kasna tha
Khud ko ant tak ghasna
Dushmano par hasna tha

Sadeli yaadien dafnata
Alag udne ka sapna tha
Samaj kab mujhe apnaata
Mujhe ladna tha aage badna tha

Tha mai akela yeh khel khela mai akela
Meri jeet mein sab aarele
Shaamil mere haar mein kaun
Zaruwat pe mere saath mein kaun
Fukat kaun aur kaam mein kaun
Waalid ke paiso se gaadi tu lekar
Jeeta toh jeet tujhe mubarak ho

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ki asliyat hai
Ghar pe patte maako Deke
Wapas field pe jaara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh bojh banti
Wazni kandhe antim pal mein
Asli banne aara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh musibat hai
Aadhe raste haar se dar ke
Waapas mud ke jaaraa kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ek falsafa hai
Khaali panne khudse bharne
Nafs se ladne aara kaun

Abhi tak ki peedee meri haar se nahi dari
Kabhi tak ke jhelu sansaar ki yeh dushwari
Jabhi tak mai zinda hu main dat ke yu hi ladega
Kabhi tak ki kshamta hai yeh pata bhi toh chalega

Sabhi sach ka jhanda leke kahin nahi pohcha main
Jhooth aur fareb se yeh duniya poori bhari padi
Ameer ladka dekha toh phir rishte kaise badal gaye
Garib hai tu dil se chaahe jitna phir tu rich rahe

Pahad yaha tuta hai jab ache log bure bane
Ehtiyat karna behtar ilaaj se kaun bhugat rahe
Misaal banke chalna hai missile banti khade khade
Letoge toh jaoge tum haar wahi pade pade

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ki asliyat hai
Ghar pe patte maako Deke
wapas field pe jaara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh bojh banti
Wazni kandhe antim pal mein
Asli banne aara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh musibat hai
Aadhe raste haar se dar ke
Waapas mud ke jaaraa kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ek falsafa hai
Khaali panne khudse bharne
Nafs se ladne aara kaun

Jeeta kaun haara.. kaauuun..
Kaun jeeta kaun haara, kya
Kya, kaun jeeta kaun.. kaun kaun…

Aur ek baar!

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ki asliyat hai
Ghar pe patte maako Deke
wapas field pe jaara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh bojh banti
Wazni kandhe antim pal mein
Asli banne aara kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi toh musibat hai
Aadhe raste haar se dar ke
Waapas mud ke jaaraa kaun

Jeeta kaun haara kaun
Zindagi ek falsafa hai
Khaali panne khudse bharne
Nafs se ladne aara kaun

Tags

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close