Hindi Lyrics

Zindagi Lyrics – Javed Ali

Advertisement

Zindagi Details:

Song : Zindagi
Singer: Javed Ali
Composer: Darbuka Siva
Lyrics by: Rashmi Virag
Music Label: Sony Music India

Zindagi Lyrics – Javed Ali

Zindagi sunn meri
Baat toh zara
Zindagi tha joh meri
Hai kahan bata

Ek bhola sa chehra tha
Bilkul duaaon jaisa
Jaane kahan wo kho gaya

Jise choo loon toh lagta
Tha rabb ki panahon jaisa
Jaane kahan wo kho gaya

Mere safar ka humsafar
Mujhse hi anjan tha kyun
Jiske liye saadiyon ruka
Do pal ka mehman tha kyun

Waqt ki tarah
Mere haathon se udd gaya
Main wahin raha
Aur woh aage badh gaya

Mere liye toh sab kuch tha woh
Ab kuchh na reh gaya
Choti si meri duniya tha woh
Mera ghar khali ho gaya

Dil abhi mera
Nahi toota hai theek se
Hai tika huya bas ek umeed pe

Khwabon mein aata hai roz joh
Sach much mein aa jaaye toh
Tum tod dena poori tarah
Koyi galti joh phir ho

Zindagi sunn meri
Baat toh zara
Zindagi se meri
Baat toh kara

Saath uske bahoonga
Main thandi hawaaon jaisa
Daaman na chodoonga kabhi

Mujhe ek baar dus baar
Sau baar de saza tu
Kuchh bhi na bolunga kabhi

Saari umar oh humsafar
Parchaayi teri banunga
Khud ko kabhi dekhoge toh
Main aaine mein dikhunga

Tags

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close